Friday, September 13, 2024
HomeBUSINESSSurah Falaq Padne Ki Fayde aur Barkat

Surah Falaq Padne Ki Fayde aur Barkat

Surah Falaq jo Mu’awwidzatain  kehlati  hai!  Mu’awwidzatain ka matlab woh suratein jinhe padhkar Allah Taala ki panah li jaati hai. Allah Taala ki hifazat hasil ki jaati hai. Surah Falaq jo ki ek chhoti si surah hai. Jo ki Quran e Pak ki 30 parah mein aata hai.

Insan is duniya mein tarah tarah ke khatarat se ghira hua hai, pareshaniyon se ghira hua hai. Kuch bahar ki hain, kuch apne andar ki. Kahi humein waswase aate hain, kahi shaitan hamari peeche hai. In sabse bachne ke liye humein Allah ki panah leni chahiye kyunki uske alawa koi in paresaniyon ko, in ashrat ko door nahi kar sakta.

  • Surah Falaq jo ki Quran e Pak ki aham suratoin mein se ek aham surah hai! Yeh surah shaitani waswaso aur bure asrat se bachati hai. Is surah se Allah Subhanahu Ta’ala ki panah talab hoti hai.

Surah Falaq Ki Fazilat aur Faiday

  • Surah Falaq padhne se shaitani waswaso se nijat milti hai.
  • Surah Falaq padhne se jinn jaise bure asraat se hifazat hoti hai.
  • Surah Falaq ko padhne se insaan apne aapko har qism ke sharr se mehfooz paata hai.
  • Surah Falaq ki tilawat se ghar mein barkat aur aman hota hai.
  • Surah Falaq padhne se Allah Subhanahu Ta’ala ka panah hasil hoti hai.
  • Surah Falaq behtareen dam hai, har subah aur shaam karni chahiye! Kyunki ye hamein shaitan aur bure asrat jinnon se hifazat karti hai.
  • Agar kisi shaks ko koi khauf ho ya koi usse dushmani kar raha ho, use dhamki de raha 

ho, to ye surat padhne se usse Allah Taala ki panah hasil hoti hai.

Surah Falaq In Hindi  

Bismillah hirrahman nirrahim.

Qul a’oozu birabbil falaq.

Min sharri ma khalaq.

Wa min sharri ghasiqin ijah waqab.

Wa min sharri nnaffathati fil ‘uqad.

Wa min sharri hasidin ijah hasad.

Surah Falaq Ka Tarjuma 

Shuru karta hoon Allah ke naam ke saath.

Keh dijiye ke mein subah ke Rab ki panah chahti hoon.

Tamam makhluqat ke sharr se.

Aur andheri raaton ke sharr se jab ki uski tareeki phail jaye.

Aur un sab auraton ke shar se jo log girhon mein phoonk marte hain.

Aur hasad karne wale ke sharr se jab woh hasad karne lage.

Surah Falaq Ke Baare Mein Ahem Hadith

  • Tirmizi Hadis number 3575 se riwayat hai. Maaz bin Abdullah bin Khubaid apne walid se riwayat karte hain. Hum ek barish wali sakht andheri raat mein Rasulullah (sallallahu alaihi wasallam) ko talash karne nikle taake aap humein namaz padha dein. Chunanche main aap ko paa gaya. Aap ne farmaya: kaho (padho) to main ne kuch na kaha. Kaho aap ne phir farmaya; magar maine kuch na kaha (kyunki maloom nahi tha, kya kahoon?). Aap ne phir farmaya: kaho, maine kaha: kya kahoon? Aap ne farmaya: **Qul Huwa Allahu Ahad** aur **Qul A’oozu Birabbil Falaq** aur **Qul A’oozu Birabbin Naas** subah aur shaam teen baar padh liya karo. Yeh (suratein) tumhein har burai se bachayengi aur mehfooz rakhein gi.
  • Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: “Kya tum nahi dekhte ke aaj ki raat aisi ayat utari hai ke inki misaal kabhi dekhi nahi gayi. Aur wo Qul A’oozu Birabbil Falaq aur Qul A’oozu Birabbin Naas hai.”

Surah Falaq ki tilawat se Allah ki panah aur hifazat hasil hoti hai. Islamic Jankri ke zariye, humne iske fayde aur barkat ko samjha hai. Har subah aur shaam is Surah ko parh kar hum shaitan aur bure asraat se mehfooz reh sakte hain. Isse apni zindagi mein shamil karein.

Surah Falaq Ke Baare Mein Kuch Ahem Sawaalaat

Surah Falaq ka matlab kya hota hai?

Surah falak ka matlab hai allah ta’ala ka pnah hasil karna .

Surah Falaq Quran mein kis parah mein hai?

Surah falak quran mein 30 para mein aata hai . 

Surah Falaq kitni ayat par mushtamil hai?

Surah falak 5 ayato per mushtamil hai .

Surah Falaq padne ka faida kya hai?

Shaitan ke waswaso se nizad milti hai jinnat se hifazat hoti hai jadu ashrat hat jate hai agar es surah ki dam kiya jaye allah tala ki pnah hasil hoti hai .

Surah Falaq se kis tarah buri nazar aur jadoo se hifazat hoti hai?

Agar kisi par nazar band ya jadoo ki gei ho to surah falq or surah nass parhke dam karne se asrat hat jate hai .

Surah Falaq ki tilawat ka tareeqa kya hai?

Jese am surah parah jata hai usi tarah ese bhi parah jata hai 

Surah Falaq ko kab aur kitni martaba padhen?

Wese to kabhi bhi par sakte hai . lekin hadish se milta hai subho sam in surah ko parh kar apne upper dam karna afzal hai .

Surah Falaq kis makaam par nazil hui thi?

Tawuj ke liye jisse allha ki pnah hasil hoti hai .

RELATED ARTICLES

Most Popular